Whatsapp Group Link Keise Banaye

Aap sabhi ka meri website ke is article me swagat hai. Aaj ki post me mein aapko WhatsApp Group ka Link keise banaya jata hai iski jankari bataunga. Aap agar whatapp ka use karte hai to aapne dekha hoga ki har koi apne group member jodne ke liye whatsapp group ke link ka hi use karta hai.

 

Agar aap whatsapp group ke link se group join karte hai to aapko us group ke admin ko koi request nahi deni hogi. Isse hume kisi group me join hone ke liye baar baar admin ko msg nahi karna hoga. Agar aap us group me apne kisi Friends ko bhi jodna chahte hai to aap us link ko forword karke bhi join karwa sakte hai.

● Net Banking Kya Hai? Poori Jankari Pade

Lekin Point ye hai ki jo whatsapp humne apne mobile me install kiya huaa hai usme to esa koi option nahi hai group me join hone ke liye. Aapko bata du ki ye WhatsApp ki official app me nahi hai. Iske liye aapko whatsapp ka beta version install karna hoga. Beta version whatsapp ka hi version hai. Ye official whatsapp ka product hai. Isliye aap iska use kar sakte hai. Lekin ye loading leta hai isliye Group ka link banane ke baad ise Uninstall kar de aur fir se official app Download kar le.

● Internet Se Ghar Beithe Keise Kamaye

Disadvantage:- WhatsApp

  • Agar aap kisi group ke Admin hai to hi aap us group ka Link bana sakte hai.
  • Aap Maximum 256 member hi add kar sakte hai.
  • Sabse badi problem ye hai ki isse spam member sabse jyada add hote hai.
  • Aapne agar ek baar Link kisi ko de diya to wo link public me chala jayega uske baad aap kuchh nahi kar sakte member automatically add hote rahenge.
  • Agar aapka koi Private Group hai to uska link kabhi bhi Generate na kare.
  • Aapne agar backup nahi lagaya to aapki Whatsapp ki sabhi Chatting Delete ho jayegi.
  • Aapko apni official app ko uninstall karni hogi uski jagah beta version ko replace karna hoga.
  • Beta version Loading leta hai isliye Link banane ke baad Official app hi use kare.

● Feedburner Account Keise Banaye 

WhatsApp Group Link Keise banaye:-

Step:-1

Sabse pahle aap apni Chetting ka Backup Laga le.

Step:-2

Whatsapp ne 06-10-2016 ko Link banane ka option apne official app me bhi add kar diya isliye ab aapko Beta Version Download karne ki koi jaruri nahi hai. Aap official app se bhi Link Create kar sakte hai. Isliye aap Step-1 aur step-2 ko follow na kare aur 3rd Step se follow kare.

Ab aap apne official app ko Uninstall kar De aur whatsapp ka Beta version Install kare. Aapko Beta version play store par nahi milega aapko iski apk file download karni hogi.

Download Link – Click here

Step:-3

Beta Version Download karne ke baad install kare aur open kare. Open karne ke baad aapke usi number se fir se account banaye. Iske baad Aap apni Chetting ko Restore kar le.

Step:-4

Aapka Account open hone ke baad aap jis Group ke bhi Admin hai aur Link banana chahte hai us group ki info par click kare.

Step:-5

Iske baad Add Participants par click kare. Iske sabse pahla option aayega invite friend via link us par click kare. Ab aapka Link Create ho gaya hai.

Step:-6

Aapke Group ka Link Create ho gaya hai. Ab aap ise jaha share karna chahe kar sakte hai. Ab aapke is link se jo bhi join hona chahe wo sirf isko open karte hi join ho jayega.

● Ek Click Se Sabhi Group Me msg Bheje

Last Word

Is tarah link generate karne se aap direct apne friend ko add kar sakte hai. Agar link se join nahi karwate hai to aapko jisko bhi add karna hai uska contact number aapke mobile me save hona chahiye. Lekin agar aapka private group hai to kabhi bhi link create na kre. WhatsApp ka use har koi karta hai agar aapne aaj hi group banaya hai aur link share kar dete hai to aapke 256 member kuchh time me hi poore ho jayenge.

● Bina Recharge Ke Dishtv Me Free Channal Keise Dekhe

Aapko meri ye Janakri keisi lagi mujhe bataye aur aap isi tarah se internet ki jankariyo ke liye mere saath jude rhe. Aap agar facebook se mere latest update lena chahte hai to aap mere facebook page ko like kar sakte hai. Agar aap twitter ka use karte hai to aap mujhe twitter par follow kar sakte hai.

15 thoughts on “Whatsapp Group Link Keise Banaye”

    • एडमिन बनाने के लिये आपका उस ग्रुप का एडमिन होना जरुरी है अगर हो तो आप जिसको भी एडमिन बनाना चाहते है उसका number ग्रुप में से select कर ले और होल्ड करके रखे उसके बाद उसमे make group admin का option आएगा उस पर क्लिक कर दे

      Reply

Leave a comment