Whatsapp Me Ek Click Se Sabhi Group Me Msg Bheje

Whatsapp aaj ki internet ki duniya me sabse powerful messenger hai. Aaj duniya ke 1 arab se bhi adhik log whatsapp ka use karte hai. Whatsapp ke baare me aap shayad achhi tarah se jante hai. Isliye whatsapp bhi apne user ko nirash nahi karta wo apne user ke liye koi na koi badiya feature add karta rahta hai jisse hme whatspp ka mja doguna ho jata hai. Aur ab tak shayad hi koi whatsapp jeisa messenger ho jo itna easy ho aur itana badiya ho.

 

Whatsapp ne haal hi apne messenger me ek feature add kiya hai. Jisme aap ek click karke sabhi Group me msg bhej sakte hai. Isse pahle ye suvidha nahi thi is kaaran ek msg ko har group ko open karke us msg ko copy karna padta tha lekin ab is naye feature ke aa jane se aap bina apne group ko khole bhi aasani se msg bhej sakte hai.

Jo Whatsapp ka Regular use karta hai uske paas kam se kam 30-40 group hote hai. Aur agar koi important msg kisi group me bhejna hai to use bahut preshani hoti hai aur ye bahut hi borring kaam hai. Par ab esa nahi hai. Agar aap koi online business karte hai ya koi bhi online mlm work karte hai to aap bhi chahte hai ki aap har group me add ho jisse aapke paas koi bhi product hai to aap use promote kar sakte hai. Me bhi yahi karta hu mere paas mere visitor ke 70 se jyada group hai jisme mera number add kiya huaa hai.

● Welcome Post For You – Read This

Isse pahle me jab bhi apni post ko kisi whatsapp group me bhejta tha to mujhe sabhi group me send karne me lagbhag 1 ghnta lag jata tha aur mujhe kafi boring bhi lagta tha aur aap bhi jante hai ki aajkal time kisi ke paas nahi hai. To mere liye to Whatsapp ka ye feature Vardan sabit huaa hai. Ab me sirf ek baar me hi sabhi group ko select kar leta hu aur send kar deta hu jisse meri post mere visitor tak chali jati hai. Isse website ki traffic bhi achhi ho jati hai. To agar aap bhi blogging karte hai to abhi whatsapp ko update kar lijiye.

● Dishtv Me Bina Recharge Ke Free Channal Keise Dekhe

Whatsapp Me Ek  Se Sabhi Group Me Msg Bheje

Whatsapp me sabhi group me ek saath msg bhejne ke liye sabse pahle aap apna  Account Update kar le. Jeise hi update ho jayega aapko isme kuchh aur bhi chhote chhote feature mil jayenge jo aapke kaam ke honge. Install hone ke baad aap kisi msg ko Select kre aur forword par Click kar de ab aapke saare Contact ki List open hogi. Aap jis jis ko bhi msg bhejna chahte hai usko select kre aur send kar de. All Done! Ho gaya aapka kaam poora. Ab aapka msg sabhi ke paas chala gaya hai.

Last Word

Whatsapp ka ye feature un logo ke bahut kaam aayega jo business karte hai ya mlm work karte hai. Unko apna msg har group me send karna padta hai aur apne business ko promote karna hota hai to unke liye to ye bahut kaam ka hai. Iske saath saath jo whatsapp par 20-30 group me add hai unke liye bhi ye kaam ka hai kyonki koi achha msg hota hai to use hum sabhi group me send karte hai but itna time kisi ke paas nahi hota to aap sabhi apna whatsapp account update kre aur is feature ka aanand le. Aap mere saath isi tarah se jude rhe internet ki nayi jankariyo ke liye.

● Free Me Website Keise Bnaye

Agar aap mere sabhi update facebook se lena chahte hai to mera Facebook Page Like kar De. Agar aap Twitter ka Use karte haj to aap mujhe Twitter Par Follow kar sakte hai. Aapko ye jankari keisi lgi mujhe jarur btaye. Internet se related koi problem aati hai to aap comment box ka use kre aapki poori help ki jayegi. Agar aapka bhi koi Whatsapp group hai to aap mera Whatsapp number- 9772802138 apne group me add kar sakte hai jisse mere latest update aapko whatsapp par hi mil jayenge.

4 thoughts on “Whatsapp Me Ek Click Se Sabhi Group Me Msg Bheje”

Leave a comment