Ribbon Lite Free WordPress Theme Ko Design Kaise Kare -For Best SEO

Agar aap blogging karte hai to aapne shayad Ribbon Theme ka name suna hoga. Agar nahi suna hai to aaj me aapko is theme ki poori jankari dunga. Lagbhag 50% blogger agar WordPress par blogging karte hai to free theme ke liye ribbon theme ka hi use karte hai. lekin jab hum shuru me blogging karte hai to hume iska pata nahi hota hai isliye WordPress.org par jo hajaro theme hai un par try karte hai lekin mere khyal se usme ek bhi theme kaam ki nahi hai. Agar aap bhi free theme ka use karna chahte hai to yaha click karke is theme ko download kar sakte hai. Agar preview dekhna hai to aap meri website dekh sakte hai. Me Ribbon ka hi use karta hu.ribbon theme

Ribbon theme Mythemeshop ki free theme me se ek hai. Veise to mythemeshop ki sabhi theme premium hai lekin advertising ke liye kuchh theme free hai jisme se sabse top me ye theme hai. Blogger ki pahli pasand hai yah theme fully customizable hai. 2 colum, SEO ready,full mobile responsible, AdSense ready lagbhag sabhi option iseme aapko mil jayenge jo humare liye usefull hai. Aaj me aapko isko Disign karne ki jankari dunga. Jiske baad aap bhi ise full Disign kar sakte hai.

● ATM Pin online keise change kare

● Hindistock par meri pahli post

1-Set Logo

Agar aapne pahle bhi try kiya hai to sabhi theme me logo lagane ka option hota hai. Ye hamari website ko ek pahchan deta hai. Aap blogging karte hai to ye sabse important hai ki aap bhi apni website ke liye ek logo Disign kare. Jaruri nahi hai ki aap koi premium logo hi use kare bas aapke paas logo hona chahiye.

● internet banking account keise banaye

Sabhi theme me logo lagane ka option appearance me diya hota bai lekin mythemeshop ki sabhi theme me iske liye ek alag option hota hai. Logo lagane ke liye aap Dashboard par Ribbon par click kare ab isme aapko sabse pahle logo ka option milega isme aap apna logo upload karke save kar de. Aap pahle apni website par logo upload kar le. Agar yaha se aap direct upload karoge to ho sakta hai ki upload na ho.

2-Font Change Kare

Kisi bhi theme me font change karne ke liye aapko CSS ka knowledge hona bahut jaruri hai. Agar aapko CSS ka knowledge hai to aap apni website me kuchh bhi edit kar sakte hai. Mujhe bhi poori tarah se CSS ka knowledge nahi hai lekin agar aap apni theme ka font change karna chahte hai to aapko me ek code deta hu us code ko aap appreance>CSS me jakar us box me paste kar de. Isse aapki theme ka font change ho jayega.

body {
font-family: arial, helvetica, sans-serif;
font-size: 15px;

Yaha par red colour me Arial font hai. Aapko agar koi aur font change karna hai to aap us font ka name change kar de. Example- Times New Roman

● whatsapp group ka link keise banaye

● Dishtv bina recharge ke keise dekhe

3-Font Size Change kare – Ribbon Theme

Font Size is theme ki sabse badi kami hai. Is theme ka font size sahi nahi hai. Sabhi theme me font bahut hi achhe hote hai lekin isme chhote hone ki wajah se visitor ko post padne me preshani hoti hai. Lekin jeise ki meine pahle bataya ki aapko CSS knowledge hai to aap ise bhi change kar sakte hai.

Font change karne ke liye aap neeche diye code ko CSS me paste kar de.

p {
font-size: 16px;

● Dreamindia250 se online peise kamaye

● 2G ke recharge par 3G internet chalaye

4-Footer Me Important Page Keise Lagaye

Aap agar ek blogger hai to aap is baat ko bhi achhi tarah se janate hai ki hume apni website par about uscontact usPrivacy policyall post ye page lagane kitne important hai. Hume agar AdSense se peise kamane hai to hume ye page apni website par lagane honge aur weise bhi har visitor ko bhi humare baare me aur hamari Privacy ke baare me pata hona chahiye. Har website par aapko ye page mil mil jayenge.

● gmail me 2step verification enable keise kare

In page ko footer me lagane ke liye aap Dashboard me Ribbon par click kare. Iske baad scroll down karke neeche copyright par jaye. Ab yaha par mythemeshop ka default page hai aap isko remove karke apne page laga sakte hai iske liye aap neeche diye code ko copy karke paste kar de.

About Me|
Contact Me|
Privacy Policy|
All Post|
Guest Post|

Yaha par red colour wale ko hatakar apne page ki url paste kar de.

5-Background colour change kare

Me aapko yahi suggest karunga ki aap background me kabhi bhi picture na lagaye. Lekin aap chahe to colour change kar sakte hai. Veise sabhi blogger background me white colour ka hi use karte hai lekin footer colour ko aap black rakhe to achha hoga. Footer colour change karne ke liye aapko html clour code pata hona chahiye agar nahi hai to aap yaha click karke dekh sakte hai.

● apne name ki ringtone download kare

agar aap footer me black colour rakhna chahte hai to aap ribbon par click kare iske baad stylish me secondary colour me #FFFFFF Code paste kar de.

● freecharge se recharge keise kare

6-Email Subscribe Box Add Kare

Ribbon Theme ka email subscribe box bahut hi achha hai lekin new blogger ko ho sakta hai usko samjhne me thodi mushkil aaye because isme default style hai isko aap edit kar sakte hai. Ribbon theme me email subscribe box lagane ke liye aapke paas Feedburner account hona chahiye agar nahi hai to aap yaha click karke bana sakte hai.

Feedburner par I’d banane ke baad aap appereance>customize>widget>email subscribe box par jaye. Iske baad aap apni Feedburner I’d lagakar label par click kare. Ab yaha aap jo bhi editing karna chahe kar sakte hai.

Last Word

Ribbon Theme mythemeshop ka ek bahut hi achha gift hai. Aap bhi agar ek achhi free theme ki talash me hai to aap is theme ka use kare. Is theme me aapko sab kuchh mil jayega jo aap chahte hai. Iske alawa aap ise jeisa chahe customize kar sakte hai. Iske alawa iske saath aapko 12+ bahut hi achhe plugins free me milenge jise aap theme install karne ke baad install karke activate kar le.

● youtube channal verify keise kare

Agar iske alawa Aapko Ribbon theme ke baare me kuchh puchhna hai to aap comment box ka use karke puchh sakte hai. Aapki help karne me mujhe khushi hogi.

45 thoughts on “Ribbon Lite Free WordPress Theme Ko Design Kaise Kare -For Best SEO”

1. 1. Sir ribbon theme me ribbon ka option Nahi Hai kaise hoga
2. Hame page ko niche footer me add karna hai kaise kare.
3. Sir aap mera blog please thoda check Kare aur hame Jo Kami hai vah bhi bataye

Reply
2. Sir Ap kaun theme use karte hai.
Ribbon lite theme ka archives,meta ko remove kaise kare hai. Please help

Reply
• मैं Genesis theme का use करता हूँ और आप कस्टमाइज ऑप्शन पर क्लिक करके रिमूव कर दो

Reply
3. Dev bhai mere domain par 19k backlink ho gaye yr, 1 hi domain se 19k backlink aarhe hai please aap bata sakte hai ki in sab backlinks ko 1 click me disallow kaise kare?

Reply
4. sir aap se ek aur baat puchna tha aap ki jo aap ki headinng aata hai red box ka uska css code dende aur batate usko kahan pe paste kare.

Reply
5. aap se mera sawal hai ki agar pages navicon me lagae toh kaise matlab top par kaise lagae ge sir bataeye ga detail me

Reply
6. hello sir, mein apke bahut post padtha hoon mera apse kuch sawal hai pls iska ans. dijiyega sir ribbon theme mein kon kon si plugin use kare jo acchi hogi.

Reply
• आप किसी भी theme में कोई भी plugin use कर सकते है। ये theme पर depend नही करता आप पर करता है

Reply
7. hello Sir
Ribbon theme me Appearance > Header part nahi hota hai kya? agar nahi hai to header part me koi code kaise daale. mujhe Adsense ka “Page-level ads” ka code Header part me daalna hai. kaise daalu ??

Reply
• Ribbon में शायद header दिया होता है आप Ribbon पर क्लिक करके देख सकते हैं और अगर नहीं है तो आप appearance>Editor में जाकर theme में header.php में भी ये कोड paste कर सकते है|

Reply
8. Sir
Maine privacy policy ka link dala hai footer me, lekin vo middle me kaise late hai
Vo page link right Ya left me hi dekhata hai
Kindly help

Reply
• ये option तो आपकी theme में ही होगा चेक करे वैसे ribbon में ये साइड में ही आता है

Reply
9. Aapka jo ye commenting box hai aapne is par name, email, or website wala box keise lgaya meri site par ye box nahi lag rha hai me bhi rebbon them use karta hu

Reply
• mahendra, ye meri theme ka defuilt comment box hai. meine abhi aapki site par check kiya to mene dekha ki aapne jetpack plugin install kar rakhi hai isi karan se aapka comment box achha nahi dikh raha hai. aap ya to jetpack ki comment setting sahi kare ya fir jetpack plugin ko uninstall kar de aapka comment box bhi sahi se show hone lag jayega.

Reply
10. hlw bro mere blog me subscribe butto sahi se add nhi ho rha he ribbon thheme me kase kru aap ek bari meri check kar ke dekhiyi plg or btayye kase kya krun

Reply
• Jab me ribbon theme ka use karta tha to mujhe bhi yahi problem thi I thin jetpack subscribe ribbon theme me kaam nahi karega. aap theme change kar le ho jayega

Reply

Leave a comment