Net Banking Kya Hai ? Poori Jankari Padhe

Aap sabhi ka aaj ke is Banking se related article me swagat hai. Aaj me aapko is article me Net Banking ki poori jankari dunga. Net banking kya hoti hai isko hum keise use kar sakte hai. Aaj ke is article ko padne ke baad aapko pta chlega ki ye kitne kaam ki cheej hai. Aane wali posto me me aapko Banking se Related sabhi article Dunga jisse aapko Account se related problem kam ho jayegi.

 

● Bina Recharge Karwaye Dishtv Me Free Channal Dekhe

Net Banking Kya hai?

Net banking hmara ek online account hota hai. Isse hum apne bank account ki sabhi Facilities ko access kar sakte hai. Lagbhag sabhi bank apne customer ko Net Banking account provide karwate hai. Mere hisaab se agar aapka bhi net banking account hai to aapko shayad hi kabhi apni Branch me jana pade. Hume apni Account ka poora Control mil jata hai. Har type ka kaam hum isse kar sakte hai. Isse hum kya kya kar sakte hai iske baare me mein aapko kuchh point btata hu.

● Airtel Internet Trick : 2G Ke Recharge Par 3G Internet Chlaye

Net Banking Se Hum Kya kar sakte hai?

  1. Agar aapke paas aapka Online Account hai to aap Ghar Beithe hi Apne Account ka Balance Check kar sakte hai.
  2. Apne account ke pichhle 10 transitions ka record Dekh sakte hai.
  3. Hum agar kisi ko ek bank se dusre bank me peise bhejna chahe to iska use karke bhej sakte hai. Iske liye bank humse koi charge nahi leta.
  4. Apne ATM Card ko block kar sakte hai. Agar kahi kho jaye to hum turant ise block kar sakte hai.
  5. Naye Card ke liye Apply Kar sakte hai.
  6. Agar hum apne atm ke pin bhool jate hai to isse hum ghar beithe hi turant reset kar sakte hai. Agar branch me jakar karwaye to lagbhg one month ka time lagta hai. Isse peisa aur time dono hi lagte hai.
  7. Net banking account hume har bank Free Me provide karwata hai. Point ye hai ki hume ise access karna aana chahiye.
  8. Apne aadhar card ko apne bank se Link kar sakte hai.
  9. Kisi bhi Online Form ki Fees Pay kar sakte hai. Ye suvidha hume Debit Card Se bhi milti hai but Net Banking jyada Safe hoti hai.
  10. Agar aapne Naya Atm Card Banwaya hai to uske pin online Generate kar sakte hai.

● Dreamindia250 Se Ghar Beithe Kamaye

Ye kuchh important point the iske alawa bhi isme bahut se option hai jeise kisi yojana ke baare me poori jankari aur uske liye apply kiya ja sakta hai. Kahne ka matlab ye hai ki agar hum is account ko open kar lete hai to aapko shayad hi kabhi branch me jane ki jarurat padegi.

Top Internet Banking Service Wale Bank:-

1-  State Bank Of India

2-  State bank of bikaner and jaipur

3-  ICICI Bank

4-  Punjab National Bank

5-  Oriental Bank Of Commerce

Ye Internet Banking Service Dene wale Top 5 Bank hai. Iske alawa bhi Circle ke Hisab se iski service bhi alag ho sakti hai.

● Whatsapp Me Ek Click Se Sabhi Group Me Msg Keise Bheje

Net Banking Account keise bnaye:-

From Bank- iske liye aapko aapki branch me jana hoga waha se aapko iski ek kit di jayegi jisme aapke internet banking ke User name aur paasword honge. Aap unse login kre ye sirf one time ke liye hi hote hai iske baad aapko change karne honge.aap yadi bank me new account open karwate hai to us form me internet banking ka option hota hai aap use jarur le.

Online:-  agar aap online hi Internet banking start karna chahte hai to aap isi tarah se mere saath jude rhe me aane wali post me aapko iski jankari bhi dunga ki Internet banking ghar beithe keise shuru ki jati hai kyonki ye ek lambhi prkriya hai isliye iske liye ek alag se post likhni padegi. To aap thoda wait kre.

● Free Me Blog Bnane Ki Poori Janakri


Last Word

Net banking account ko har koi access nahi kar sakta isliye iska use sirf wahi kar sakte hai jinko internet ki jankari ho. Jeisa ki aap jante hai ki bank hmare account ko lekar bahut savdhani rakhta hai to Hmare liye ise itna secure banaya huaa hai ki har koi ise use nahi kar sakta. Agar kabhi galti se bhi koi login kar leta hai to wo koi bhi transition nahi kar sakta. Isliye aapko agar achhi jankari hai to aap iske liye apply kar sakte hai nahi to aap esa na kre. To aap mere saath jude rhe me agli post me aapko Internet banking account bnane ki poori jankari Dunga.

1 thought on “Net Banking Kya Hai ? Poori Jankari Padhe”

Leave a comment