Link Aadhar Card In Bank – Apne Aadhar Card Ko Online Bank Se Link Keise Kare

Aap sabhi ka ek baar fir se swagat hai meri aaj ki is post me. Meine apni pichhli post me bataya tha ki aap aadhar Card me se apna Data Online update keise kar sakte hai jise aap yaha click karke padh sakte hai. Aaj ki post me aapko me bataunga ki aap aadhar Card ko online apne bank se link keise kar sakte hai. Aaj ke time me lagbhag sabhi ke pass apna bank account hai. Jab hum apna account open karte hai to bank me sabse pahle proof ke liye aadhar Card hi liya jata hai. Isliye ye jankari aapko batana bhi jaruri hai to chaliye shuru karte hai – Link Aadhar Card Bank.

Aadhar Card ki jarurat sabhi ko hai lekin jinhone apna aadhar Card banwane se pahle hi bank me account open karwa liya tha unke shayad aadhar Card link nahi hai. Ese me aapko bhi jaruri hai ki apna aadhar card bank se link kare. Iske liye aapko apni Home Branch me jana hoga lekin aap agar online internet ka knowledge rakhte hai to aap ye kaam online hi kar sakte hai iske liye aap meri aaj ki ye post padh sakte hai.

● aapne Google par kya kya kiya Keise check kare

● Gmail kya hai aur Gmail Account kyo jaruri hai

Sabse pahle yah jan lena jaruri hai ki kahin aapka aadhar card pahle se hi link to nahi hai because agar esa hota hai to aapke liye ye achhi khabar hai. Aapne ab tak aadhar card link nahi kiya hai to sabse pahle aap yahi kaam kare jisse ki aapko government ki aur se di jane wali har suvidha ka labh mil sake. Aapka aadhar card link hai ya nahi iska pata bhi aap online hi kar sakte hai. Iske ki liye aap ye kuchh tips ko follow kare.

● Android mobile ko hard reset karne ke 3 tarike

Check Aadhar Link Bank

Step-1

Sabse pahle aap aadhar card ki officially site par jaye. Aap yaha click karke bhi redirect ho sakte hai.

Step-2

Ab homepage par aapko aadhar card check karne ka link mil jayega. Aap us par click kare.Link Aadhar Card Bank Dashboard

Step-3

Iske baad agli screen me apni 12 digit UID submit kare aur neeche wale box me captacha code Dalkar verify kar de.Link Aadhar Card Bank UID ENTER

Step-4

Ab aapka aadhar card verify hoga. Agar bank se link hai to aapko messege mil jayega ki aapka aadhar card already verify hai. Agar verify hai to aapko kuchh nahi karna hai. Agar nahi hai to aap aage se step ko follow kare.

● aapka mobile khud bolega ki me yaha hu! janiye Keise

● apne name ki ringtone download kare

Link Aadhar Card bank

Agar aap offline apne aadhar card ko bank se link karwate hai to apni Home Branch jakar form bharne ke baad use verify kar sakte hai lekin me yaha aapko online link karne ka tarika bata raha hoo. Online link karne ke liye aapke paas internet banking ki suvidha honi chaiye. Agar nahi hai to Dont worry aap yaha click karke kuchh hi minute me apna internet banking account bana sakte hai.

Step-5

Ab me yah maan leta hu ki aapne internet banking account bana liya hai. Ab aap apna internet banking account login kare. Login karne ke baad Dashboard me aapko aadhar card link karne ka option mil jayega aap us par click kare.Link Aadhar Card Bank net banking Dashboard

Step-6

Ab aap agli screen me apni account Details bhare. Sabse pahle apna account number select kare. Uske baad neeche wale box me apne aap aapka registered mobile number aa jayega. Ab aap apna 12 Digit UID number enter kare. Iske baad neeche wale box me fir se enter kare.Link Aadhar Card Bank enter Details

Step-7

All Done! Ab aap submit par click kare. Click karte hi aapko successfully ka messege mil jayega. Ab aapka aadhar card aapke bank se link ho gaya hai.

● Hindistock success story part-1

● kisi bhi website ki full Detail check kare

Post Summary

Me apni pichhli post me bhi baat kar chuka hu ki internet banking kya hai jise aap yaha click karke padh sakte hai. Aap agar online internet ka use karte hai to jarurat hai aapko Internet banking ki. Aap aaj hi apna account bana le.  Internet banking je aur bhi bahut se kaam hai. Agar aapki LPG subsidy nahi aa rahi hai to use bhi aap link kar sakte hai. Jisse aapka bahut sa time bach jata hai. Aadhar card ko link karna bahut hi aasan hai. Jinke paas pahke se internet banking account hai wo sab shayad pahle hi link kar chuke hai. I hope aapko meri ye post “Link Aadhar Card Bank” wali post pasand aayi hogi. Ise apne dosto me share jarur kare.

5 thoughts on “Link Aadhar Card In Bank – Apne Aadhar Card Ko Online Bank Se Link Keise Kare”

  1. Sir maine mere bhai ka aadharcard download kiya he lekin wo pdf par khul nahi raha he. Pdf password protect he aur usme mene address me diya huva pincode bhi daalaa tab bhi wrong paasword dikhate he aur wo khul raha nahi he.

    Reply
    • अभी आधार कार्ड open करने का प्रोसेस बदल चुका है। अब आप अपने पिनकोड से आधार कार्ड ओपन नही कर सकते।
      अगर आपको आधार कार्ड ओपन करना है तो सबसे पहले आपको अपने नाम के पहले चार word और उसके बाद उसकी जन्म का वर्ष लगाना होगा उसके बाद आपकी फ़ाइल ओपन होगी।
      उदाहरण के लिये- मेरा नाम Dev Rathore है और मेरी जन्म तारीख 01/12/1994 है तो मुझे अपनी फ़ाइल को ओपन करने के लिए पासवर्ड में DEVR1994 लगाना होगा उसके बाद पीडीएफ खुल जायेगी

      Reply

Leave a comment