Hosting Server Par WordPress Install Keise Kare

Jab hum WordPress ke liye hosting lete hai to jo naye blogger hote hai unke liye WordPress ko samjhna bahut mushkil ho jata hai. Agar aap blogger par bhi Blogging kar chuke hai ya aapne apne blogger ko WordPress par transfer kiya hai to aapko bhi shuru me problem aa sakti hai. WordPress software ko agar hum samjh lete hai to yah blogging ke liye bahut hi perfect platform hai.

 

Aaj ke article me mein aapko WordPress blog ko apne hosting server par keise install kare uski jankari dunga. Mere is article ko padkar aap mobile se hi WordPress ko manage kar sakte hai. Veise me bhi blogging ke liye apna android mobile hi use karta hu. Agar aap meri ye post pad rahe hai to iska matlab hai ki aapne bhi hosting le li hai aur apne blog ko setup karna chahte hai.

● Internet Banking Account Keise Banaye

Hosting Server Par WordPress Keise Install Kare :-

Step :-1

Sabse pahle aapne jis Website par hosting li hai usme apna account login kare. Iske baad aap cPanel me jaye aur uske samne WordPress ko manage karne ka option hai us par click kare.


Step:-2

Ab nayi window me aapke WordPress ka Setup karne ka option open ho jayega. Isme sabse pahla option Setup ka hi aata hai. Aap us par click kare.

● Bina Recharge Ke Dishtv Me Free Channal keise Dekhe

Step :-3

Aapki Setup karne ki Process ab shuru ho jati hai sabse pahle aap Create a new site ke option par click kare.


Step:-4

Iske baad aapko apni site ke liye user name aur password banana hai. User name me apna user name daale isme ese word ka use kare jo sabse alag ho matlab aapki site se bilkul bhi match na ho. Isse aapki site hack hone ka khatra (Danger) kam ho jata hai. Meine Dekha hai ki bahut se blogger user name me admin likh dete hai jo ki mere hisaab bilkul bhi sahi nahi hai. Password wale option me apna password daale ise jitna long rakhenge utna hi better hoga. iske saath saath isme aap special correcter ka bhi use kare. Gmail Me apni Id likhe aur Finish kar De.

● Blogger Par Apna Free Blog Keise Banaye

Step:-5

Ab aapke WordPress ka setup apne aap chalne lagega. Aapki net speed par depend karega ki kitni jaldi setup hoga. Is page ko aap refresh na kare aur isi page par rahe aur wait kare.

Step:-6

Agar Net speed achhi hai to lagbhag 1 (one) minute me Setup complete ho jata hai aur waha par your Account is ready ka option aane lagega. Ab aap us par click kare.


Step:-7

Setup Complete ho chuka hai. Ab aapko apni site ki setting karni hai iske liye aap jo continue ka option aayega us par click kare. iske baad aapki website ka tittle aur tagline likhe. Meri website ka tittle –Hindistock hai aur Tagline – Grow Your Internet Knowledge hai. Better hoga aapne Jo Domain liya hai usse milta huaa name hi likhe.

● 2G Ke Recharge Par 3G Internet Chalaye

Step:-8

Last me apni contact Detail Likhe aur iske baad Theme select kare. Aap is theme ko baad me change bhi kar sakte hai.

All Done! Aapki site ab Use karne ke liye ready hai. Ab aap ise apne hisab se Disign kar sakte hai. Agar aap mujhse Disign karwana chahte hai to aap Contact Us ka use karke mujhse contact kar sakte hai.

● Apne Blog Ko Feed burner Me Keise Register Kare

Last Word

Agar aap WordPress ko blogging le liye Select karte hai to mein aapke is fesle ka swagat karta hu. Me khud bhi blogging ke liye WordPress ka hi use karta hu. Ye blogging ke liye bahut hi powerful software hai. Bas aapko shuru me samjhna hai. To aap bhi post publish karne se pahle ise achhi tarah se samajh le iske baad blogging start kare. Isse aapko fayda ye hoga ki aapko aage problem nahi aayegi. Iske alawa aapko theme suggestion ki baat karu to aap ribbon theme ka use kar sakte hai. India ke 70% Blogger WordPres me isi theme ka use karte hai.

To aap bhi ise pahle samjhe uske baad blogging kare agar koi problem aaye to aap mujhse help le sakte hai.

 

Leave a comment