AdSense Account Me Payment Mode Set Keise Kare – Full Guide In Hindi

Google Adsense Account har blogger ki pahli pasand hai. Jo bhi blogging karte hai wo sab jante hai ki Google Adsense kya hai lekin sabse jyada sochne ko majboor karne wai baat hai Google Adsense ki Privacy Policy. Google Adsense ki sabhi terms ko follow karna ek bahut mushkil kaam hai agar aapne kahi par thodi si galti kar di to aapka adsense account suspend ho jata hai.Google Adsense Account

Lekin agar ise positive najar se dekhe to advertizement me sabse jyada pay karne me bhi google adsense sabse upar aata hai. isliye ye sabhi blogger ko pasand hai iske alawa aapka blog neeche deside karta hai ki koun kitni income karega. Kher ab hum apne topic par baat karte hai aaj ki is post me aapko bataunga ki aap Google Adsense Account me payment address keise set karte hai aur iski kya kya terms hai.

  • AdSense Ke Ads Keise Banaye Poori Jankari

Aap ek blogger hai to is bat ko achhi tarah se jante honge ki adsense 100 dollor hone par hi payment karta hai. isliye jab aapne adsense ke liye apply kiya tha tab apne apna address bhi submit kiya tha. lekin 50% user yaha galti karte hai aur apna address sahi nahi karte hai isliye unko adsense se payment lene me problem aati hai aur google ise edit karne ko allow nahi karta to is time me aap kya karenge.

Rukiye! ye baat pahle ki hai lekin ab esa nahi hai agar apke adsense account me payment address wrong hai to aap ise sahi kar sakte hai lekin ye sabhi country me allow nahi hai kuchh country me google ise allo karta hai aur unme se hamare india ka name bhi aata hai to sabse pahle aap apne adsense account me login karke payment me jakar apna address sahi kar le uske baad payment mode set karna hai.

Google Adsense Account Me Payment Mode Set Kare

Sabse pahle apne google account me login karke adsense open kare.

Uske baad Homepage>Setting>Payment par click kare.google adsense account homepage

Ab yaha par hame Payment method set karna hai to aap add payment method par click kare.

New window me aapko apne bank ki detail adsense ke saath share karni hai  iske liye aapke paas apne bank ki poori detail honi chahiye.

Beneficiary id- Ye optional hoti hai isliye ise blank hi rahne de.

Name On Bank Acoount- Aapka bank me jo name hai wo yaha likhe. Spelling mistake nahi honi chahiye.

Bank Name- Apne bank ka name likhe. Apne bak ka poora name likhe Examle- State Bank Of Bikaner And Jaipur.

Ifsc Code- Apne Bank Ka Ifsc Code Likhe. ye aapki bank paasbook par likha hota hai agar nahi hai to aap google par search kar sakte hai ya bank se pata kar sakte hai.

SWIFT Code- Swift code aapki bak paasbook par nahi hota ye 2 ya 11 digit code hota hai jho international transiction ke time kaam aata hai. aap iske liye apne bak se visit kar sakte hai ya aap yaha click karke Pata kar sakte hai.

Account Number- Isme aap apne bak ka account number type kare

Retype Account Number- bank ka account number fir se type kare.

Ye sab kuchh karne ke baad save par click kar de.

ab aapka payment method set ho chuka hai. aap page ko refresh kar le ya fir dubara login karle aapka naya paymet method set ho jayega.

My Word

Adsense me aap agar chahe to multiple payment method bhi set kar sakte hai lekin aapko ek primary bank set karna hota hai uske baad payment aati hai aur jab tak payment mode set nahi hota hai aapki payment hold par hoti hai. apki jankari ke liye bata doo ki adsense ki payment har mahine ki 21 se 27 ke bech hoti hai. isse pahle aapki payment nahi aayegi. I hpe aapko meri aaj ki ye post “Google Adsense Account me payment method keise set kar” pasand aayi hogi If Yes, to aap ise apne social media par share jarur kare.

4 thoughts on “AdSense Account Me Payment Mode Set Keise Kare – Full Guide In Hindi”

  1. sir jis bank me mera account hai us sbi bank ka swift code nahi hai but meri bank branch se 90 km door ik branch hai jiska swift code hai me us code ko apni adsense payment detail me add kar dunga but sir kya ap mujhe batayenge ki mujhe us branch me jana padega payment ke liye jis bank branch ka swift code hai ya direct waha se mere bank account me paisa transfer kar diya jayega.

    Reply
    • bhai LOGO को थोडा और अच्छा बनाने का प्रयास करे बाकी आप custom डोमेन ले सकते है तो अच्छा होगा

      Reply

Leave a comment