Freecharge Se Recharge Keise Kare ? 100% Cashback

Agar aap online recharge karte hai to aapne freecharge ka name to jarur suna hoga. Paytm ke baad online recharge karne ki website me Freecharge ka name sabse upar hai. Agar meri baat ki jaye to me recharge karne ke liye isi application ka use karta hu. Freecharge par monthly 25000 se jyada online registration hote hai. Me iska use karna isliye bhi pasand karta hu because isme recharge karne par Cashback sabse jyada milta hai.

 

Agar aap bhi Cashback dene wali site ki talash me hai to aap is website ka use kar sakte hai. Lagbhag sabhi online recharge karne wali website Cashback ka offer deti hai lekin jitna Cashback is website par milta utna kisi bhi website par nahi mil sakta. Agar aap new user hai to aap is website se 100% Cashback le sakte hai. Matlab agar aap 50 ka recharge karte hai to aapko apke poore peise wapis mil jayege.

● ATM Pin Online Change keise Kare

● Apne name Ki Ringtone Download Kare


Freecharge Kya Hai?

Ye ek online recharge karne ki website hai jo apne customer ko Cashback dene ke karan unki sabse pahli pasand hai aur ye kaafi popular hai. Aap jab first time is par registration karte hai to aapko first recharge par aapki poori payment wapis kar di jati hai. Iske alawa isme monthly Cashback ka offer bhi diya jata hai. Agar aap ek baar recharge karne ke baad monthly transition nahi karte hai to aapko aapki registered email par ek promo code diya jata hai jiska use karke aap Cashback le sakte hai. Freecharge se aap mobile recharge,tv recharge, electricity bill,gas bill,postpaid bill all type ke recharge kar sakte hai. Aapko aapke bill ki raseed bhi milti hai wo bhi har transition par.

Isme Wellet ka option bhi hai lekin agar aap chahe to direct payment kar sakte hai. paytm ki tarah Wellet ko load karne ki koi jaruri nahi hai. Aap sirf 1 minute me transition complete kar sakte hai. Is par transition keise kare aur Cashback keise le iski poori jankari me aapko dunaga.

● AdSense Account Keise Banaye ? online Earn money

● Mp3 Song Me Apni Photo Keise Lagaye

Freecharge Par Registration Keise kare?

Step:-1

Registration karne ke liye aap application ka use kar sakte hai jise aap Yaha Click Karke Download kar sakte Hai. Iske alawa aap website se bhi registration kar sakte hai. Me aapko yaha registration Application se keise kare iske baare me bata raha hu.

Step:-2

Registration process bahut hi easy hai iske liye aapke paas Email aur aapka mobile number hona chahiye jo pahle se register na huaa ho.

Step:-3

Sabse pahle aap freecharge application ko open kare uske baad register par click kare.

Step:-4

Ab aap apni Detail bharkar submit kare. Isme aap apna name, mobile number, email aur password daalkar submit kare.

Step:-5

Submit karne ke baad aapke registered mobile number par One Time Password aata hai use Verify kar De. verify hote hi aapka registration complete ho jayega aur aapki I’d open ho jayegi.

● Apni Gmail Hack Hone Se Keise bachaye

● Whatsapp Group Ka Link Keise Banaye

Freecharge Se Recharge Kare Aur Cashback Keise Le

Jeise ki meine aapko pahle hi bataya ki new user ke liye bahut se offer hai. Abhi October chal raha hai isliye October ke offer me bhi ek promo code aaya hai jiske tahat aap agar 100 ka recharge karte hai to aapko 75 ka Cashback milega. Matlab poore 75% Cashback. Cashback keise le iski Janakri deta hu.

● Net Banking Kya Hai?

Step:-1

Sabse pahle aapko kiske liye recharge karna hai usko select kare. Me aapko mobile recharge karke batata hu. Dashboard me mobile par click kare.

Step:-2

Ab aap apna mobile number likhe aur iske baad amount likhe. Iske baad payment option aayega. Payment karne ke liye aapke paas atm card ya internet banking honi chahiye. Iske alawa aapka mobile number bhi bank me registered hona chahiye.

Step:-3

Agar aapko 55 ka Cashback lena hai to aapko promo code wale option me FEB55 likhkar submit kare. Submit karte hi aapko msg mil jayega kuchh is tarah se likhaa aayega “Voila! Your promo code has been successfully applied. Now you can payment for this transition with credit card,debit card or net banking……..

Updated– Febuary ka promo code FEB55 Use kare. jisme aapko 55 ke recharge par 55₹ ka cash back milega. jeise hi koi naya promo code aayega. update kar diya jayega.

Ab aapka promo code apply ho chuka hai. Aap payment ke liye debit card par click kare.

Step:-4

Apni debit card card ki detail bhare. Sabse pahle 16 digit code jo aapke atm card ke front par hai uske baad uski expiry date jo front par hai. Last me CVV number ye aapke debit card ke back side me white me hai. Iske last 3 Digit code type kare. Ye CVV code hote hai. Inko kabhi bhi share nahi karna chahiye.

Debit card security tips:- agar aap apne atm card ki better security chahte hai to aap kisi nukili cheej ka use karke apne CVV number ko delete kar de. Inko aap yaad kar le ya kisi aur jagah likh le. Isse aapke account se kabhi bhi koo bhi peise nahi nikaal sakta.

Step:-5

Ab aap proceed to payment par click kare. Iske baad apne bank ki site par redirect ho jayenge. Aapke registered mobile number par otp aayega use verify kar de.

● Free Me Blog Banaye Aur Internet Par Name Banaye

● 2G Ke Recharge Par 3G Internet Keise Chalaye

All Done! Aapki payment successfully ho chuki hai aur aapka mobile bhi recharge ho chuka hai. Aapko msg bhi mil gaya hoga ki aapka Cashback aapke Wellet me transfer kar diya gaya hai. Aap mere wellet me dekh sakte hai.

Last Word

Freecharge ek esi website hai jo sabse jyada Cashback deti hai. Ab aap bhi samajh gaye honge ki aapne 100 ka recharge kiya aur aapko 75 wapis mil gaye to mere hisaab se ye bahut jyada hai. Agar hum retailer se recharge karwate hai to usko 75 rupess ki income lene ke liye 3000 ka balance karna padta jo ki bahut hai. Lekin hume 75/- sirf 100 ka recharge karne par hi mil jate hai. Iske alawa aap time to time apni email check karte rahe freecharge aapko promo code provide karta hai. Aapko ye post keisi lagi mujhe jarur bataye aur is website ka use kare internet ki jankariyo ke liye.

16 thoughts on “Freecharge Se Recharge Keise Kare ? 100% Cashback”

  1. Sir Mene new I’d banai hai or mere ko Abhi tak Cashback nhi Mila Mene 3 recharge Kar diye 458 ,75,398 ka Kiya tha Ji help me

    Reply
  2. agar electricity bill ka amount afar 1000rs hai to kya 1000 ka cashback milege

    agar milega to kitni baar

    Reply
  3. Kay esay bijaly bill kitany amount ka bhi paid kar sakata hai .or ek din may kitani bar cash back ho sakata hai

    Reply
    • कैशबैक एक ही मिलता है लेकिन बिल आप मर्जी उतनी बार ही बदल सकते है।

      Reply

Leave a comment