How To Create A Gmail Account -Gmail Account Keise Banaye

Aap sabhi ka swagat hai meri aaj ki is post me. Aaj me aapko bataunga ki aap gmail account keise bana sakte hai. Bahut se visitor ke liye ye article bahut purana hoga lekin aap bhi shayad jante hai ki meine apni pehli post me bataya tha ki 80% user ko internet ke baare me knowledge nahi hai wo sirf whatsapp aur facebook ka use karna hi jante hai isliye un sabke liye bhi ye article bahut khaas haim to chaliye shuru karte hai How To Create Gmail Account.

Gmail google ki ek free service hai. jab whatsapp aur facebook popular messenger nahi the to us time gmail hi sabse popular tha. Jab google ne ise shuru kiya tha us time ye free version me available nahi tha is service ka use karne ke liye google ko peise dene padte the. Iske baad jab gmail kaafi popular ho gaya to google ne ise sabhi ke liye free kar diya. Aur aajkal sabhi professional worker kisi tarah ki messengering ke  liye google ki is service gmail ka hi use karte hai. Gmail Account banana bahut aasan hai. Lekin iski security ko lekar hume dhyan rakhna padta hai.

● kisi bhi song me voice remove karke apni voice set kare

● apne name ki ringtone Download kare

Gmail Ko Secure Keise Kare

Gmail Account ko safe karna aapke haath me hai. Agar aap professional work karte hai to aap bahut achhi tarah se jante hai ki gmail ko safe rakhna kitna important hai. Agar aapki gmail ko kisi ne hack kar liya to samajh lijiye ki aapka 50% se jyada online data chori ho chuka hai. Sabhi jante hai ki hume lagbhag sabhi tarah ke account ka use karne ke liye gmail account ki jarurat hoti hai. Chahe aap online kuchh bhi kaam kare sabhi me aapko gmail dena jaruri hai. Gmail ko secure keise rakhe iski jankari ke liye aap yaha click kare.

Aapke paas aapka Android ya kisi type ka mobile jarur hoga. Aap sabhi ko apne mobile ko use karne ke liye gmail ki jarurt hoti hai. Android me aapko agar google ki kisi bhi service ka use karna hai to gmail se login karna jaruri hai warna aap google ki kisi bhi service ka use nahi kar sakte. For example-google play store.

● Android mobile ko root kare bina computer ke

● whatsapp group link keise banaye

Gmail Kyo Jaruri hai – How To Create Gmail Account

Google ki bahut saari service hai jeise- Gmail, Google Adsense,Blogger,youtube,Google Chrome etc. In sabhi ke liye aapko gmail ki jarurat padti hai. Agar aap youtube ka use karke peise kamana chahte hai to aapko gmail se sign up karna hoga. Youtube se peise keise kamaye jate hai iski jankari keliye aap yaha click kare. Google Adsense kya hai aur keise kamaye iske liye aap yaha click kare. Agar aap blog se income lena chahte hai to aap yaha click kare aur poori jankari padhe. Meine iske baare me bahut si post likhi hai aap sabhi post ko padh sakte hai. Aap agar student hai to har form ya study se related koi kaam karne ke liye aapko gmail ki jarurat hogi. To dekha aapne ki hamare liye ye kitna jaruri hai. ab jante hai ki How To Create A Gmail Account.

● net banking kya hai poori jankari padhe

How To Create Gmail Account

Step-1

Sabse pahle aap www.gmail.com par login kare. Iske baad login karne ka option aayega. Aap usme create account par click kare.Create Gmail Account dashboard

Step-2

Ab agli screen me registration form open ho jayega. Isme aap apni poori detail likhe.Create Gmail Account full Dashboard

First name- apna pahla name- Dev

Last Name-  aapka antim name- Rathore

Email-. Isme apni pasand ka name likhe- hindistock0138

Password– yaha par aap apna password create kare. Password strong hona chahiye.

Retype password-. Apna password fir se enter kare.

Birthday– apni birthday type kare. Yaha par me aapko suggest karunga ki aap real date na lagaye.

Gender– select your gender

Mobile no. – enter your mobile number

Iske baad continue par click kare.

Step-3

Ab agli screen me aapko apna mobile number conform karna hai. Aap apna mobile number enter karne ke baad picture ke anusar select kare aur send OTP par click kare.Create Gmail Account mobile verification

Step-4

At last! Aapke mobile me 6 digit code aayega use us box me type karke verify kar de. Ab aapka gmail account ban chuka hai aur aap login ho chuke hai. Aapko ab kuchh setting karni hai iske liye aap gmail ko secure keise kare wali post padhe jiska link me is post me upar bhi de chuka hu.

● atm pin online change keise kare

● Android apps keise banaye

Post Summary

Aapne dekha ki gmail account banana kitna aasan hai lekin bahut se user esa nahi kar pate hai. Ye bhi ek knowledge ki baat hai. Aap agar study karte hai to aap apni gmail jarur banaye ye bahut hi kaam aati hai. Aap chahe kuchh bhi kare aapko gmail ki jarurat to padegi hi. Aaj ka time internet ka time hai. Aur is internet ke time me bina gmail ke koi kaam nahi ho sakta ye bhi ek sach hai. Fir chahe aap koi online shopping kare ya study kare. Chahe aap Android ka use kare ya pc ka use kare sabhi me gmail ki jarurat padegi. I hope meri aaj ki ye post” How To Create Gmail Account ” pasand aayi hogi ise apne dosto me share jarur kare.

2 thoughts on “How To Create A Gmail Account -Gmail Account Keise Banaye”

  1. Pingback: Youtube Video Download Keise Kare Bina Software Ke

Leave a comment