Cashlesh transaction Ke Liye Top 5 Android Application

Aap sabhi jante hai ki pichhle dino me india me 500 aur 1000 ke note ban kar diye gaye the uski jagah 500 aur 2000 ke naye note diye gaye hai lekin in sabke saath saath ek aur point tha jo ki hamare prime minister narendra modi ji ne uthaya tha unhone kaha tha ki india ko abhi cashlesh transaction par jor dena chahiye jisse courption par rok lagayi ja sake. To aaj ke is article me hum cashlesh transaction ke liye best android apps ke baare me janenge.

Veise dekha jaye to ye cashlesh transaction ko hume bahut pahle hi apna lena chahiye tha. India me only 3 percent people hi cashlesh transaction karte hai. Aur un 3 percent me sirf android user hi hote hai ya jo online shopping karte hai. Baaki sabhi cash me hi payment karte hai. To aap aaj se mere is article ko padhne ke baad cashlesh transaction hi kare isse aapka paisa aur time dono hi safe rahte hai.

Cashlesh transaction ke liye best android apps

1. Freecharge

Me is application ko sabse best manta hu because ye meri sabse favourite application hai. Cashlesh transaction ke saath saath ye cash back dene me bhi sabse popular application hai. Aapne ab tak freecharge ka use nahi kiya hai to aap apni first transaction par 100 percent cash back le sakte hai. Iski poori jankari aap yaha click karke padh sakte hai. Freecharge application me aap apne friend ko peise bhej sakte hai lekin aapke friend ke paas bhi freecharge application honi chahiye. Iske alawa aap mobile recharge,bill payment,DTH Recharge,Gas,Electricity sabhi ki payment kar sakte hai. Freecharge application ko 10 million se bhi jyada baar Download kiya ja chuka hai aur google play store par iski rating 4.3 hai jo best mani jati hai. Freecharge application ko aap yaha click karke download kar sakte hai.

● Godaddy Account me 2step verification keise enable kare

● kisi bhi software ki serial key download kare

2. Paytm

Freecharge ke baad ye meri sabse favourite application hai paytm ek best popular application hai aur jo log internet ka use karte hai wo paytm ke baare me bahut achhi tarah se jante hai. Paytm se aap recharge karne ke saath saath shopping bhi kar sakte hai. Agar aap kisi ke bank me peise bhejna chahte hai to aap paytm ka use kar sakte hai. Ye ek safe way hai. Aapko money send karne ke liye 4.17 percent transaction charge dena hota hai. Lekin aap agar charge nahi dena chahte hai to aap yaha click karke internet banking ka article padh sakte hai jisme aap free me peise bhej sakte hai. Paytm application se aap lagbhag sabhi tarah ki payment kar sakte hai aur ye most popular application hone ke karan sabhi ke paas available hai jisse aapko payment karne me koi preshani nahi hogi. Paytm application ko 50 million se bhi jyada baar Download kiya ja chuka hai aur google play store par iski rating 4.4 hai. Paytm application ko aap yaha click karke download kar sakte hai.

● aapke paas ke ATM me cash hai ya nahi check kare

● apne aadhar card ko bank se link keise kare

3. Airtel Money

Aap agar airtel User hai to aap airtel Money ka use jarur kare. Airtel ne bhi apne customer ke liye ek alag se seller banaya hai jise airtel Money ke name se jana jata hai. Airtel Money se aap mobile recharge, bill payment,  kar sakte hai. Aap agar kisi bhi bank me peise bhejna chahe to aap iska use kar sakte hai. Aapko airtel customer hone ke karan bank se money transfer bhi isi application se karna chahiye. Airtel Money ka use 1 million se bhi jyada user karte hai aur google play store par iski rating 4.2 hai. Airtel Money application ko aap yaha click karke download kar sakte hai.

● Facebook se tag option ko remove keise kare

● internet banking Account keise banaye

3. M-Pesa

M-Pesa bhi airtel Money ki tarah best android apps hai. M-Pesa vodafone ki tarf se provide karwaya gaya mobile Wellet hai. Aap agar Vodafone customer hai to aap vodafone M-PESA ka use kar sakte hai. Isme bhi aap mobile recharge ,bill payment , send money in bank, jaisi facilities le sakte hai. Aap kisi bhi bank me peise bhej sakte hai. 4.2 rating ke saath ise bhi 1 million se bhi jyada user iska use karte hai. M-PESA application ko aap yaha click karke download kar sakte hai.

● ek click se sabhi whatsapp group me msg bheje

● whatsapp group link keise banaye

4. State Bank Buddy

Cashlesh transaction ke liye isse best application nahi ho sakti because jo application bank se related ho ya provide karwayi gayi ho usse transitions karne me koi galat baat nahi hai. Aap agar state bank customer hai to aap is Wellet ka use kar sakte hai. Ye bank se juda mobile Wellet hai jo aapki cashlesh transaction karne me poori help karega. Is application ko google play store se aap yaha click karke download kar sakte hai.

● kisi bhi song se voice remove karke apni voice keise lagaye

● website is real aur fake! check kare

5. Oxygen Wellet

Oxygen Wellet rajasthan ka sabse popular aur best android apps hai. Rajasthan me government Emitra ka work aur oxygen ki seav dono hi mile huye hai. Aap agar Emitra ka kaam karna chahe to aap oxygen Wellet ka use kar sakte haim iska matlab ye nahi hai ki aap other state me iska use nahi kar sakte. Oxygen Wellet ka use karna easy bhi hai. Aur ye government se related hai. Oxygen Wellet android application download karne ke liye aap yaha click kare. Iske alawa aap online website par jakar bhi oxygen Wellet ka use kar sakte hai.

● android mobile se connect wi-fi ka password dekhe

● mp3 song me apni photo keise lagaye

Calculation

Iske alawa bhi bhaut si android application aapko mil jayegi jisse aap cashless transition kar sakte hai. Lekin ye 5 sabse popular application hai ab ke time ki. Google play store par inki rating bhi achhi hai. Isliye aap inka use mar sakte hai. I hope ki aapko meri ye best android apps pasand aayenge. Aap meri is post ko apne friend circle me share jarur kare aur internet ki jankariyo ke liye mere saath jude rahe.

4 thoughts on “Cashlesh transaction Ke Liye Top 5 Android Application”

  1. केशलेश सुविधा अच्छा है पर बच्चो का ATM बनता नही तो बच्चे कैसे केशलेस सुविधा अपनायेगे

    Reply
    • Ashwin चिंता मत करो। आने वाले टाइम में एटीएम की जरुरत ही कहाँ होने वाली है। अब UPI और भीम app भी आ चुके है। अब इंडिया कैशलेस होकर ही रहेगा।

      Reply
  2. बहुत ही अच्छा post है, share करने के लिए धन्यवाद। 🙂 🙂

    Reply

Leave a comment