2 Best Screen Recording Apps Download Kare

Aap sabhi ka swagat hai meri aaj ki post me. Aaj ka time android ka time hai aur har koi iska use karta hai lekin agar Android apps na ho to in sabke bina hamara android mobile adhura hai. Aaj me aapko 2 Android screen recording karne wali apps ke baare me jankari dunga jisse aap bhi apne mobile ki Recording kar sakte hai aur use apne storage device me save kar sakte hai.

Screen recording app ki jarurat mere hisaab se sabko hai. Mujhe to iski bahut jarurat padti hai because me apni website ka 50% work apne Android mobile se hi kar leta hu. Isliye me apne sabhi kaam ki Recording kar leta hu jisse baad me samjhne me aasani ho jaye ki humne kya kiya tha aur ye aapke liye bhi isliye jaruri hai ki aajkal jo bhi karo aapke paas apni safety ke liye proof hona chahiye jisse baad me aapko koi problem na ho.

● whatsapp group ka link keise banaye

● net banking ke baare me poori jankari pade

● dishtv bina recharge ke keise dekhe

Screen Recording karne ki Advantage

Iska sabse bada advantage ye hai ki humne apne mobile me kya kuchh kiya tha iska pata chal jata hai. Jeise maan lo ki aap kisi site par apna koi important kaam kar rahe hai aur ho sakta hai ki aap baad me bhool jaye ki humne kya kiya tha is time ye ye humari sabse jyada help karta hai. Aur aap agar kisi ke video copy nahi karna chahte hai to aap iski madad se khud ke video bhi bana sakte hai me jab free hota hu to apne youtube video isi se bana leta hu.

● android mobile ko root keise kiya jata hai

● mp3 song me apni photo keise lagaye

Air Shou – Screen Recording Apps

Air Shou Android ke liye ek bahut hi achha apps hai. Ye sabse easy to use hai. Bas aap download kare aur play kar de ye aapki screen ke background me chalta rahega aur apna kaam karta rahega aapko kuchh nahi karna hai. Iske alawa aap isme video quility ko apne hisaab se set kar sakte hai ki aapko video me kitni clearty chahiye. Agar aap youtube ke liye bana rahe hai to aap resolution 1mbps hi rakhe nahi to video quality to achhi ho jayegi lekin uski memory bahut bad jayegi to play karne me aapko problem ho sakti hai. Aap yaha click karke Google play store se Is application ko download kar sakte hai.

● apne name ki ringtone download kare

● ATM pin online change keise kare

Mobizen – Screen Recording Apps

Yah bhi Play store ka ek bahut achha apps hai. Isme achhi baat ye hai ki hum chahe to apne video ko beech me rok sakte hai aur baad me play kar sakte hai. Isme high quality ka video banta hai jo ki ekdam se clear hoga. Mobizen ko sabse jyada pasand kiya jata hai. Isliye ise 100 lakh log download kar chuke hai aur play store par iski Ranking 4.5 hai jo bahut achhi maani jati hai. Mobizen ko aap yaha click karke play store se download kar sakte hai. Mobizen me aap koi custom setting nahi kar sakte hai. Click karte hi Recording start ho jati hai. Iske alawa aap is apps se screenshot bhi le sakte hai.

● facebook page keise banaye

● music download karne wali website keise banaye

I hope ki ye dono apps aapko pasand aayegi aur aap inka use karenge. Aapko meri ye post kesi lagi mujhe jarur bataye aur mere saath isi tarah se jude rahe yaha click karke facebook aur yaha click karke twitter par mere latest update pane ke liye.

Leave a comment